
Aaj ki daudbhag se bhari zindagi mein aksar bahut se log apni sehat par poora dhyan nahi de paate. Log Bahar ka khana khana pasand karte hain, aniyamit lifestyle follow karte hain, kam neend lete hain,aur hamare sharir mein poshak tatvon ki kami dheere-dheere hamare sharir ko kamzor bana deti hai. Kai baar hum log aisa sochte hain ki hame thakan sirf zyada kaam karne ki wajah se ho rahi hai, lekin real mein iske peeche kuch vitamin ki kami bhi ho sakti hai.
Jaise ki hum sab ye baat jaante hain ki vitamin hamare sharir ke liye bahut zaroori hote hain. Ye hamari immunity ko majboot banane mein help karta hain, ye hamari haddiyon ko mazboot rakhne mein bhi help karta hain, aankhon ki roshni, hamari twacha, baal, dimaag aur poore sharir ko sahi tarah se kaam karne mein vitamins hame madad karte hain.
Agar hamare sharir mein kisi bhi vitamin ki kami ho jaye, to sharir hume kuch sanket dena shuru kar deta hai. Yadi in sanketon ko samay par pehchanna bahut zaroori hota hai, taki samasya badhne se pehle hi uska samadhan bina kisi samasya ke kiya ja sake.
Is article mein hum jaanenge ki vitamin ki kami ko kaise pehchanein, kaun se lakshan kis vitamin ki kami ki taraf ishara karte hain aur ise door karne ke aasan upay kya hain.
Jane Ki Vitamin Ki Kami Kya Hoti Hai?
Vitamin deficiency yani ki vitamin ki kami ka matlab hai ki hamare sharir ko kisi zaroori vitamin ki paryapt matra nahi mil rahi hai. Ye kami hamare galat lifestyle,galat khan-paan, pachan ki samasya, kisi bimari, pregnancy, badhti umar ya kuch dawaon ke karan bhi ho sakti hai.Shuru mein iske lakshan halke aur bahut kam hote hain, lekin lambe samay tak kami bani rahe to ye gambhir samasyaon ka khatra bhi badha sakta hai.
Sharir Mein Vitamin Ki Kami Hone Ke Kuch Samanya Lakshan
Hamesha thakan rehna, Sharir mein kamzori Chakkar jaisa aana, Baal jhadna,Twacha ka rukha hona, Naakhun kamzor hona, Baar-baar infection hona, Ghaav der se bharna, Yaadash kamzor hona, Pairon ya haathon mein jhanjhanahat, Mood kharab rehna, Neend ki samasya hona, Maanspeshiyon mein dard hona ye sare Sharir Mein Vitamin Ki Kami Hone Ke Kuch Samanya Lakshan ho sakte hai. Yadi ye lakshan apko hmaesa hi apne body mein dekhne ko mile to hame doctor se apni jach karwana chahiye.
Main Question Ki Kaise Pata Kare Ki Kis Vitamin Ki Kami Hai?
Sirf lakshan dekhkar pakka nahi kaha ja sakta ki apke sharir mein kis vitamin ki kami hai. Lekin sharir ke kuch sanket andaza zaroor dete hain.Sabse sahi tareeka hai ki aap doctor ki salah par blood test karwayein.Doctor blood report ko check karke hi apko bata payengey ki apki body mein kis vitamin ki adhik kami hain.
Sharir Ke Liye Kuch Main Vitamins Kon Kon Se Hai ?
- Vitamin A
- Vitamin B12
- Vitamin C
- Vitamin D
- Vitamin E
- Vitamin B9 (Folate)
- B-complex vitamins
Ab jaante hain kuch mukhya alag-alag vitamin aur unki kami ke lakshan
Vitamin A Ki Kami Ke Pramukh Lakshan
1.Raat Mein Kam Dikhai Dena (Night Blindness)-Vitamin A ki kami ka sabse common lakshan hai raat ke samay ya kam roshni mein saaf na dikhna ho sakta hai. Agar andhera hote hi dekhne mein pareshani hone lage, to ise halke mein nahi lena chahiye.
2.Aankhon Ka Sukhapan-Aankhon mein jalan, khujli ya baar-baar sukhapan mehsoos hona bhi Vitamin A ki kami ka ek sanket ho sakta hai. Kuch logon ko aankhon mein ret jaisi feeling bhi mehsoos hoti hai.
3.Twacha Ka Rukha Aur Bejaan Hona-Agar apki skin bina kisi wajah ke bahut zyada dry, khurduri ya bejaan dikhne lage, to ye Vitamin A ki kami se bhi juda ho sakta hai.
4.Baar-Baar Infection Hona-Baar-Baar kisi prakar ka Infection Hona bhi vitam A ki kami ke karan ho sakta hai.
5.Ghaav Ka Dheere Bharna-Chot ya ghaav ka der se bharna bhi kabhi-kabhi Vitamin A ki kami se sambandhit ho sakta hai, kyunki ye sharir ki tissue repair process mein yogdan deta hai.
6.Baalon Ka Rukha Aur Kamzor Hona-Vitamin A ki kami ke kuch maamlon mein baal bejaan, rukhe ya kamzor mehsoos ho sakte hain. Halanki baal jhadne ke kai anya karan bhi ho sakte hain.
7.Bachchon Mein Vikas Par Asar-Bachchon mein Vitamin A ki gambhir kami hone par sharirik vikas aur aankhon ki sehat prabhavit ho sakti hai. Isliye unke poshan ka khaas dhyan rakhna zaroori hai.
Hame Ye Baat bhi Dhayan Mein Rakhna Chahiye
Upar diye gaye lakshan sirf Vitamin A ki kami ki wajah se hi hon, aisa zaroori nahi hai. Isi tarah ke lakshan anya health problems mein bhi dikh sakte hain. Agar ye pareshaniyan lagataar bani rahen, to doctor se salah lekar zaruri jaanch karwana sabse behtar rahta hai.
Vitamin B12 Ki Kami Ke Lakshan-Vitamin B12 hamare sharir ke liye bahut important poshak tatva hai. Ye laal rakt koshikayen (Red Blood Cells) banane, dimaag aur nerves ko swasth rakhne aur sharir ko urja dene mein aham bhoomika nibhata hai. Jab sharir mein Vitamin B12 ki matra kam ho jati hai, to iska asar dheere-dheere poore sharir par dikhne lagta hai. Shuruaat mein lakshan halke ho sakte hain, lekin lambe samay tak kami bani rahe to rozmarra ki zindagi bhi prabhavit ho sakti hai.
Vitamin B12 Ki Kami Ke Pramukh Lakshan
1.Hamesha Thakan Aur Kamzori Mehsoos Hona-Agar bina zyada mehnat kiye hi thakan mehsoos ho aur din bhar sharir mein urja ki kami lage, to ye Vitamin B12 ki kami ka ek sanket ho sakta hai.Agar bina zyada mehnat kiye hi thakan mehsoos ho aur din bhar sharir mein urja ki kami lage, to ye Vitamin B12 ki kami ka ek sanket ho sakta hai.
2.Haath Aur Pairon Mein Jhanjhanahat Ya Sunpan-Vitamin B12 hamare nerves ko swasth rakhne mein madad karta hai. Iski kami hone par haath ya pairon mein jhanjhanahat, suiyan chubhne jaisa ehsaas ya sunpan mehsoos ho sakta hai.
3.Chakkar Aana Aur Saans Phoolna-Vitamin B12 ki kami ke karan anemia ho sakta hai. Is wajah se kuch logon ko chakkar aana, seedhiyan chadhte waqt saans phoolna ya jaldi thak jana mehsoos ho sakta hai.
4.Yaadash Aur Dhyan Kamzor Hona-Baar-baar baatein bhool jana, dhyan kendrit karne mein pareshani hona ya mansik thakan mehsoos hona bhi Vitamin B12 ki kami se juda ho sakta hai.
5.Jeebh Mein Jalan Ya Lalpan-Jeebh ka lal, chikni ya dardnaak ho jana aur khana khate samay jalan mehsoos hona bhi Vitamin B12 ki kami ka ek sambhavit lakshan ho sakta hai.
6.Chalne Ya Santulan Banane Mein Pareshani-Agar kami kaafi samay tak bani rahe, to kuch logon ko chalne mein asantulan ya pairon par poori pakad na hone jaisi samasya bhi ho sakti hai.
NOTE-Ye sabhi lakshan sirf Vitamin B12 ki kami ke hi sanket nahi hote. Aisi hi pareshaniyan anya bimariyon mein bhi dekhne ko mil sakti hain. Isliye agar ye lakshan lagataar bane rahen, to doctor ki salah lekar Vitamin B12 test ya anya zaruri jaanch karwana sabse sahi rahta hai.
Vitamin C Ki Kami Ke Lakshan
Vitamin C immunity ko majboot banata hai.Ishki kami hone par ye lakshan dikhai dete hain jaise-Masoodon se khoon aana, Ghaav der se bharna,Baar-baar sardi-jukam,Twacha bejaan hona, Thakan hona.
Vitamin C Ke Srot-Amla ,Orange, Lemon, Guava, Kiwi, Strawberry, Shimla mirch.
Vitamin D Ki Kami Ke Pramukh Lakshan
Vitamin D ko aksar “Sunshine Vitamin” bhi kaha jata hai, kyunki hamara sharir dhoop ki madad se ise bana sakta hai. Yeh vitamin haddiyon aur daanton ko mazboot rakhne, calcium ko absorb karne aur immunity ko support karne mein mahatvapurn bhoomika nibhata hai. Jab sharir mein Vitamin D ki kami ho jati hai, to iska asar sirf haddiyon hi nahi, balki muscles aur poori sehat par bhi pad sakta hai.
Vitamin D Ki Kami Ke Pramukh Lakshan
1.Haddiyon Aur Jodon Mein Dard-Agar bina kisi chot ke haddiyon, ghutnon ya kamar mein baar-baar dard rehne lage, to yeh Vitamin D ki kami ka ek sanket ho sakta hai. Yeh dard dheere-dheere badh bhi sakta hai.
2.Muscles Ki Kamzori-Seedhiyan chadhne, zyada der tak chalne ya rozana ke kaam karte samay muscles mein kamzori mehsoos hona bhi Vitamin D ki kami se juda ho sakta hai.
3. Jaldi Thak Jana-Paryapt aaram karne ke baad bhi agar din bhar thakan aur susti bani rahe, to Vitamin D ki kami bhi iska ek sambhavit karan ho sakti hai.
4.Baar-Baar Bimaar Padna-Vitamin D immunity ko support karta hai. Iski kami hone par kuch logon ko sardi, khansi ya anya infection baar-baar ho sakte hain.
5.Ghaav Der Se Bharna-Agar chot ya operation ke baad ghaav ko bharne mein samanya se zyada samay lage, to Vitamin D ki kami bhi ek karan ho sakti hai.
6.Mood Mein Badlav-Kuch logon mein Vitamin D ki kami ke dauran udaasi, chidchidapan ya kisi kaam mein man na lagna jaisi samasya dekhne ko mil sakti hai. Halanki iske peeche anya karan bhi ho sakte hain. C
7.Bachchon Aur Buzurgon Mein Haddiyon Ki Samasya-Bachchon mein Vitamin D ki gambhir kami haddiyon ke sahi vikas ko prabhavit kar sakti hai, jabki buzurgon mein haddiyan kamzor hone aur fracture ka khatra badh sakta hai.
NOTE-Ye lakshan keval Vitamin D ki kami ke hi sanket nahi hote. Isi tarah ki pareshaniyan anya health conditions mein bhi dekhne ko mil sakti hain. Agar ye lakshan lagataar bane rahen, to doctor ki salah lekar Vitamin D test ya anya zaruri jaanch karwana aur uske baad hi supplements lena sabse uchit rahta hai.
Vitamin E Ki Kami Ke Lakshan
Vitamin E ek mahatvapurn antioxidant hai, jo sharir ki koshikaon (Cells) ko nuksan pahunchane wale free radicals se bachane mein madad karta hai. Yeh twacha, baalon, aankhon, muscles aur immunity ko swasth banaye rakhne mein bhi aham bhoomika nibhata hai. Halanki Vitamin E ki kami bahut aam nahi hoti, lekin jab yeh hoti hai to sharir kuch khas sanket dene lagta hai.
- Muscles Mein Kamzori
- Haath-Pairon Mein Jhanjhanahat
- Nazar Se Judi Pareshaniyan
- Twacha Ka Rukha Aur Bejaan Hona
- Immunity Kamzor Hona
- Santulan Banane Mein Dikkat
- Sharir Mein Kamzori Aur Thakan
NOTE-Vitamin E ki kami har vyakti mein ek jaise lakshan nahi dikhati. Upar diye gaye lakshan anya health problems se bhi jude ho sakte hain. Agar ye pareshaniyan lagataar bani rahen, to doctor ki salah lekar zaruri jaanch karwana aur uske baad hi kisi bhi supplement ka sevan karna sabse surakshit tareeka hai.
Kin Logon Mein Vitamin Ki Kami Ka Khatra Zyada Hota Hai?
- Bachche
- Garbhavati Mahilayen
- Buzurg
- Strict Diet Karne Wale Log
- Vegan Ya Pure Vegetarian Log
Vitamin Ki Kami Ko Kaise Door Karein?
- Santulit Aahar Lein
- Protein Ko Diet Mein Shamil Karein
- Rozana Dhoop Lein
- Junk Food Kam Karein
- Paryapt Pani Piyein
- Doctor Ki Salah Se Supplements Lein
Kya Sirf Lakshan Dekhkar Vitamin Ki Kami Ka Pata Lagaya Ja Sakta Hai?
Nahi. Kai lakshan ek se zyada vitamin ki kami ya kisi anya health condition mein bhi dikh sakte hain. Isliye sirf internet par padhe lakshanon ke aadhar par nishkarsh na nikalein. Agar lakshan lagataar bane rahen, to doctor se milkar sahi jaanch karwana behtar rahta hai.
Vitamin Ki Kami Se Bachne Ke Tips
Har din santulit aur poshtik bhojan khayein. Mausami phal aur hari sabziyan apni diet mein shamil karein. Rozana halka vyayam karein. Achhi neend lein. Smoking aur alcohol se door rahen. Pani paryapt matra mein piyein. Samay-samay par health checkup karwate rahen.
Conclusion
Sharir hume aksar chhote-chhote sanketon ke zariye batata hai ki use kisi poshak tatva ki zarurat hai. Hamesha thakan rehna, baal jhadna, twacha ka bejaan hona, haddiyon mein dard ya baar-baar infection hona kabhi-kabhi vitamin ki kami ka sanket ho sakta hai. Lekin in lakshanon ka matlab hamesha vitamin deficiency hi ho, aisa zaroori nahi hai. Isliye agar ye samasyaen lagataar bani rahen, to doctor ki salah lekar uchit jaanch karwana aur uske baad hi ilaaj ya supplements lena sabse surakshit tareeka hai. Santulit aahar, niyamit dhoop, achhi neend aur swasth jeevan shaili apnane se adhiktar log vitamin ki kami ke khatre ko kam kar sakte hain.
FAQs
1.Sabse zyada kis vitamin ki kami dekhi jati hai?
Vitamin D aur Vitamin B12 ki kami kaafi logon mein dekhi jati hai, lekin ye vyakti ki diet, umr aur health par nirbhar karta hai.
2.Kya vitamin ki kami se baal jhad sakte hain?
Haan, kuch vitamin aur minerals ki kami baal jhadne ka ek karan ho sakti hai. Sahi karan jaanne ke liye doctor ki salah leni chahiye.
3.Kya bina test ke vitamin supplements lena sahi hai?
Nahi. Har vitamin ki zarurat alag hoti hai. Zarurat se zyada supplements lena nuksan bhi pahuncha sakta hai.
4.Kya sirf dhoop lene se Vitamin D ki kami poori ho jati hai?
Har vyakti mein aisa nahi hota. Dhoop madad karti hai, lekin kuch logon ko diet ya doctor ki salah se supplements ki bhi zarurat pad sakti hai.
5.. Vitamin ki kami kitne din mein theek hoti hai?
Ye kami ke karan, gambhirta aur ilaaj par nirbhar karta hai. Kai logon mein sudhar kuch hafton mein dikh sakta hai, jabki kuch ko zyada samay lag sakta hai.
