Kya Aap Bhi Hair Fall Aur Samay Se Pehle Safed Ho Rahe Baalon Se Pareshan Hain ? Janiye Ishke Karan Aur Bachav Ke Aasan Tarike

Kya aap Bhi Hair Fall aur Safed Baalon se pareshan hai ?

HAIR FALL aur kam umar me SAFED BAAL aaj kal ek common samasya hoti ja rahi hai.Pahle ye kewal bujurgon me hi dikhai deta tha,lekin aaj kal ye samasya 20 se 30 saal ke logon mein hi bhut zyada dikh rahi hai.Ishi tarah hair fall bhi aaj kal bhut kam umar ke logon me dikhna aam ho chuka hai.

Hair Fall aur Safed Baalon ke peeche kai karan ho sakte hai jaise kharab life style,jada stress,work load,hormonal imbalance,poshak tatvon ki kami,aur galat tarike se hair ki care karna.

Agar aap bhi hair fall aur safed baalon se pareshan hai to ye aticle apke liye hai,Ish article me hum janenge ki hair fall aur kam umar me hi safed baalon ke hone ke peeche kya karan hai aur ishka kya bacahav hain.

Hair Fall Kya Hai ?

Hair fall

Hair fall matlub ki apke baalon ka jhadna,ye ek aam samasya hai.Hamare baalon ka ek natural growth cycle hota hai jisme purane baal girte hai aur naye baal unki jagah par aate hai.Ye process hoti rahti hai.Ye ek common process hai.

Normal ek vyakti ke 50 se 100 baal rozana jhad sakte hai.lekin jab baal isse bhi kahin jada jhadne lage,kangi karte samay jada baal nikle,ya baalon ko wash karte time jada baal nikle,ya baal bhut patle nazar aane lagen.To ye apke hair fall ki samasya ho sakti hai.

Hair fall kai baar hamare sharir me poshak tatvon ki kami,stress kaam ka,hormonal changes,ya health condition ke karan bhi hota hai.Hair fall me tezi se baal, girte hai par tezi se baalon ki growth nahi hoti hai.

Kya Karan Hai Ki Kam Umar Me Logon Ke Safed Baal Ho Rahe hai ?

Yadi umar ke saath baal safed ho to common hai lekin kam umar me hi baalon ka safed hona kai karano se ho sakta hai.hamare baalon ka rang Melanin naamak pigment ki wajah se hota hai.Jab hamari body me melanin kam banta hai,tub baal dheere -dheere safed ya grey dikhne lagte hai.

Hair Fall Aur Safed Baalon Ke Kya Mukhya Karan hai ?

Hair fall

1.Zyada Tension Ya Stress Lena – Aaj kal ki itni busy life chal rahi hai ki kisi ke paas apne khud ki care ke liye hi time nahi hai.Aisi tanav bhari zindgi me tanav lena ek aam baat ho gai hai.Adhik stress lene par na kewal sharir ko nuksaan pahuchtaa hai balki baalon par bhi bhut bura asar dalta hai,aur baal samay se pahle hi safed ho jate hai.

Zyada stress

2.Poshak Tatvon Ki Kami- Yadi aap ki sharir me poshak tatvon ki kami hai,jaise iron,vitamin B12,Vitamin D,Zink aur Protein ki matra kam hai,to inke karan bhi hair fall aur safed baalon jaisi samasya ho sakti hai.

3.Kharab Lifestyle- Aaj kal adhiktar logon ki kharab lifestyle hoti hai kyuki har koi kahi na kahi busy rehta hai jis karan wo na to proper neend le paate hai na hi proper diet,jab hamari lifestyle par thoda sa changes aa jata hai ishke karan bhi asamy safed baal aur hair fall jaisi samsya ho sakti hai.

4.Baalon Ko Proper Clean Na Karna- Jab ham baalon ki proper care nahi karte na unko proper clean karte hai to hair fall jaisi samasya ho sakti hai ki din bhar pollution aur dust se baalon par bura asar padta hai,aur ye yadi jada badta hai to safed baalon jaisi samasya bhi ho sakti hai.

5. Hormonal Imbalance- Yadi apki health condition sahi nahi hai ya apko thyroid ya anya koi samasya hai,ya fir apka hormonal imbalance hai to ye apke safed baal ya hair fall hone ka karan ho sakta hai.

6.Koi Gambheer Bimari Hona- Yadi apko koi gambheer bimari hai jaise cancer,ya TV ish condition me bhi apke hair fall aur safed baalon jaisi problem ho sakti hai.

7.Chemical Product Ka Adhik Use- Yadi aap chemical products ka zyada use karte hai jaise color bleach,rebonding,ye sab baalon ko kamjor banate hai aur inka zyada use karne se hair fall aur safed baalon ki samasya ho sakti hai.

Chemical product

8.Genetic Karan- Kai baar safed baal aur hair fall ki samasya genetic karan se bhi hoti hai,yadi family me kisi ke kam umar me safed baal ya hair fall jaisi samasya rahi ho to ishka asar agli peedhi par bhi padh sakta hai.

Hair Fall Aur Safed Baalon Ki Samasya Se Kaise Bachav Karen ?

Asamaye ho rahe safed baalon ki samasya aur hair fall ki samasya ke liye aap in cheejo ko try karein jaise-

Santulit Ahar Lein- Aap[ kosish karein ki apki diet me protein,iron,hari sabjiya,dry fruits,aur fruits ki matra zyada honi chahiye,jab bhi aap khana khaye to in cheejo ko zyada diet me lena start karein.

santulit aahar

Proper Neend Lein- Aap har din kam se kam 7 se 8 ghante ki neend lena start karein ye apke liye bhut zaruri hai.Achhi neend baalon aur skin dono ke liye faydemand mani jati hai.

achhi neend lein

Baalon Ki Cleaning Ka Dhyan Rakhein- Jada chemical cheejo se baal kharab hote hai aap mild shampoo ka use karein aur baalon ko zarurat se zyada na dhoyen. Jitna ho sake natural hair care products ka use karein,baalon par chemical treatment kam lein.

Zyada Paani Piyein-Apki bady ka hydrated rehna baalon ke liye bhut zaruri hai.Zyada se zyada paani piyein taki apki body hydrated rahe aur hair fall aur safed baalon jaisi samasya se aap dur rahe.

Drink water

Kab Apko Doctor Se Salah Leni Chahiye ?

Yadi jarurat se zyada hair fall ho raha ho scalp par patch ban rahe hon,ya baal achanak tezi se safed ho rahe ho to apko late nahi karna chahiye apko dermatologist se salah lena chahiye.

Hair Fall Ke Liye Kya Khana Chahiye ?

Hair Fall se Bachne ke liye apko in cheezo ko apni diet me samil karna chahiye jaise –

  • Daal
  • Beans
  • Hari pattedar sabjiyan
  • Dahi
  • Dudh
  • Seasonal Fruits
  • Soyabean
  • Fish
  • Egg
  • Soak dry fruits
  • Nariyal pani
  • Nuts

Jo log egg aur fish nahi khate wo ishko skip kar sakte hai

Safed Baalon Se Bachav Ke Liye Kya Khana Chahiye ?

Safed Baalon Ko rokne Ke Liye Apko In Cheezo Ko apni diet mein samil karna chahiye jaise-

  • Amla
  • Curry Patta
  • Till
  • Akhrot
  • Palak
  • Chakundar
  • Gazar
  • Vitamin B12 Se Bharpur ahar lein

Kya Baalon Ki Malish Se Hair Fall Kam Hota Hai- Baalon ki malish kai log regular karte hai ye baalon ki sehat ke liye achha hota hai lekin ye zaruri nahi hai ki baalon ki malish karne se hair fall ka pura ilaz ho jyga,ye apke baalon aur sehat ko behtar banane me help kar sakta hai.

Baalon Ki Malish Ke Fayde-

Hair oil and massage
  • 1.Apke Sculp Me Blood circulation Behtar Ho sakta hai.
  • Stress Kam Ho sakta hai.
  • Baalon ki chamak bani rahti hai.
  • Scalp ko moisturized rakhne me help karta hai.
  • Regular hair care se baalon ki health achhi rahti hai.

Kin Baaton Ka Rakhna Chahiye Dhyan ?

  • Bhut hi zor se malish nahi karni chahiye ye nuksan pahucha sakti hai.
  • Zor se malish karne se baal tut sakte hai.
  • Gile baalon ko zyada nahi ragadna chahiye.
  • Agar hair fall kisi anya medical condition ya hormonal changes ke karan ho rahe hai to malish karne se ye samasya ko nahi roka ja sakta hai.

Kis Prakar Ka Shampoo Baalon Ke Liye achha Hota hai ?

Hair Shampoo

1.Baalon ke liye aksar mild shampoo aurgentle shampoo achhe mane jate hai,ye baalon ki cleaning bhi karte hai aur sculp ko zyada dry nahi karte.

2.Sulfate Free Shampoo baalon ko naram rakhte me madad kar sakte hai,dry aur damage baalon wale log isse chun sakte hai.

3. Harbal shampoo jaise amla,reetha,shikakai aur aloevera jaise prakritik tatvon wale shampoo kai log pasand karte hai,ye baalon ki health aur care ke liye achhe hote hai.

4.Dandruff shampoo bhi use kar sakte hai yadi apke scalp me dandruff ya khujli ki samasya ho,to anti-dandruff shampoo help kar sakte hai.

5.Jab bhi aap shampoo ka chyan kare to ye dhyan dena chahiye ki shampoo zyada chemical wala na ho,isse baal damage hone ke zyada chances hote hai.

Conclusion

Hair fall aur safed baalon ki samasya aaj kal aam hoti ja rahi hai,ye samasya kai karanon se ho sakti hai.Yadi aap apni achhi lifestyle rakhe jaise achhi diet lena,proper neend lena,jyada paani peena,aur accha shampoo ka chayan karna,Aur kam se kam stress lena to ish hair fall aur safed baalon ki samasya ko bhut had tak control kiya ja sakta hain.Lekin ye samasya lagatar badh rahi hai to kisi vishesh Dr.se salah lena jada behtar ho sakta hai.

FAQs

1.Din bhar me kitne baal jhadna normal mana jata hai ?

50-100 baal roz jhadna samanya mana jata hai.

2.Kya stress se hair fall ho sakta hai ?

Haan,zyada stress se bhi hair fall ho sakta hai,ishliye stress nahi lena chahiye.

3.Kya tel malish karne se hair fall ruk jata hai ?

Tel apke baalon ko moisturize kar sakte hai,lekin hair fall ka ye permanent ilaz nahi hai.

4.Hair fall ke liye sabse zaruri vitamin konsa hai ?

Vitamin D aur Vitamin B12 baalon ke health ke liye important hote hai.

5. Kya neend ki kami se hair fall ho sakta hai ?

Haan,yadi lagatar neend puri nahi ho to hair fall ho sakta hai.

6. Kya baalon ko daily wash karna jaruri hota hai?

Nahi,kai log week me 2 ya 3 baar hi hair wash karte hai,ye apki habit par nirbhar karta hai,kai log week me 2 baar hair wash karte hai.

7.Kya gile baalon me kangi karna sahi hai ?

Geele baal kamzor hote hai ish liye gile baalon me kanghi karne se baal tut sakte hai.Geele baalon me zor se kanghi nahi karni chahiye.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top
Verified by MonsterInsights